Love Guru, Aapki Yaadon Ka Humsafar.......
Ek dhundhali si shaam se nikli kuch yaadein.......
Monday, July 6, 2020
Ek Yehi Aarzu Mere Dil Me
Ek Yehi Aarzu Mere Dil Me Rahi Hai Muddaton Se,
Tum Mujhe Chaho Dil Ki Shiddaton Se,
Badi Veeran Si Hai Zindgi Meri Tumhare Bina,
Nawaz Do Mujhe Aakar Tum Apni Mohabbaton Se.
Aye barish itna na baras
Aye barish itna na baras ki wo aa na sake,
Un k aane k baad itna baras k wo ja na sake.
Hasrat-e-dil unki
Hasrat-e-dil unki chahat ka ghar bana gayi
unki aarzoo jism-o-jaan par cha gayi
bahot jee liye hum khud ki zindgi
ab to unke pyar me nisar hone ki umar aa gayi.
Sunday, July 5, 2020
Bas isliye main khud ko
Bas isliye main khud ko udas rakhta hu, quki bahot azeez hain use udasiya meri. Wo jab yaad aata hai beintha yaad aata hai dard bs itna wo har pal yaad aata hai
Mayus Hain Yeh Dil
Mayus
Hain Yeh Dil, Suni Yeh Mehfil Kyun Chandni Mein, Mera Dil Jale
Yeh
Majbooriyaan, Bani Duriyan Gayi Tu Kahan Bata De Zara.
neend ka maza to kabr me
wo kehte the neend ka maza to kabr me aayega,
karke un par yakeen hum aaj bhi ek pal k chain ko tarste hain.
Aaj Baaton He Baaton Mein
Aaj Baaton He Baaton Mein Kisi Ne Unka Zikr Kiya,
Dil Ne Jaise Thokar Khayi Aur Dard Ne Badhkar Thaam Liya....🚶🏼♂️🚶🏼♂️
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)