Wednesday, September 8, 2021

हिना जी को समर्पित

तेरी निगाह-ए-मोहब्बत के चाहने वाले,
तेरी निगाह-ए-मोहब्बत से बद’गुमान भी रहे..
(हिना जी को समर्पित)

kuch hum rangeen hain

arz kiya hai : 
kuch hum rangeen hain or kuch shaam rangeen hai,
kuch asar dosti ka hai kuch asar mohabbat hai,
yun lagta hai manzil mil gayi hai mujhe,
magar kambakht dil hai ki manta nahi,
tere aane ki umeed raushan kiye baitha hai.........................

Sunday, September 5, 2021

Bahot se rang dekhe

Bahot se rang dekhe hamne zindgi ke,
Magar har rang feeka laga hame mohabbat ke rang ke aage.

Friday, September 3, 2021

ek premi ka dard

ek premi ka dard :
yun to wo hamse bahot dher sara pyaar karte hain
magar apni mummy se chupate hain or papa se darte hain
call karte hain hum jab b wo phone silent mode me rakhte hain
jab hum office me hote hain wo 100 miss call karte hain
sms pe sms bhej k sara din inbox full karte hain
or har 4th sms me 5 shikayat karte hain
janu tum hame bhul gaye hum tumse bepanah pyaar karte hain
agar kabhi milne ko bulao to na aane k bahane 40 bante hain
yun to wo hamse bahot dher sara pyaar karte hain.

Thursday, September 2, 2021

Tu kisi pagal hawa si

Tu kisi pagal hawa si chalti hai 💃
Main sookhe patte sa fadfadata hoon🕺

Mere ishq ki dastan

Do Phool aake meri maiyyat par chadha jana,
Hai Ek Rasam jise tum bhi aakar nibha jana,
Apne to kabhi the nahi, Gairon sa haal jata jana,
Mumkin hai zamane ka darr tumhe ruswa na kar de,
Phir bhi pahen chehre par naqab tum yahan aa jana,
Samajhkar Ek deewane ka janaza Ek bar aur tum muskura jana,
Beshaq beeti baatein tumhe aane se bada rokengi,
Phir bhi Ilzaam mohabbat par na aaye pyaar jhoota hi tum jata jana, 
Mere ishq ki qimat to ada ho na sakegi tumse,
Apne jhoothe waadon ka taqada tum zarur bata jana,
Jab koi nahi tha haal tumhara sunne ko uska kuch sila hamse nibha jana,
Aana meri laash par aur do aansu jhoot ke tum bhi baha jana,
Baad marne ke hum to honge na tumhari yaadon me,
Fatiha padhne ka silsila tum thoda sa aage badha jana,
Ho jana hai dafan mujhe hokar door tumhari duniya se,
Bas ek akhiri aarzoo rahi sanam tumse jeete ji aur bAad marne ke bhi,
Mere ishq ki dastan kisi mod par kisi ko tum suna jana.
Alvida

Dard kya hota hai

Dard kya hota hai btayenge kisi roz,
Ek achchi si gazal sunayenge kisi roz,
Udne do in parindo ko azad fizaon mein,
Agar Apne huve to laut aayenge kisi roz.....
Gud Night doston