Monday, August 30, 2021

Dard-e-Sameer 23

Kuch yun lute hum mohabbat k bazar me,
qeemat b jyada di or saman b na paya.
har shart b puri ki bazar ki hamne,
or hath b hamare kuch na aaya.

Dard-e-Sameer.

Saturday, August 28, 2021

Zindgi agar chaar din ki ho

Zindgi agar chaar din ki ho,
To bhi hame koi gam nahi,
Tum saath ho bas hamare,
To ye sau saal se kam nahi......

Ab wahan yaadon

Ab wahan yaadon ka bas Bikhra hua malbaa hi hai,
jis Jagah ishq ne buniyaad-e-Wafa rakhi thee..!!

Dard-e-Sameer 22

ye kasak dil ki dil me chubhi reh gayi,

ek zindgi me bas tumhari kami reh gayi.

Dard-e-Sameer

Thursday, August 26, 2021

अच्छे ने अच्छा और बुरे ने बुरा

अच्छे ने अच्छा और बुरे ने बुरा जाना मुझे ! 

जिसकी जैसी सोच थी उसने वैसे ही जाना मुझे !!

Wednesday, August 25, 2021

Bahot chaha fir bhi,

Bahot chaha fir bhi,
Unki aankhon mein aks apna na utra,
Hum khud ko botal mein utar baithe,
Toot kar chaha ki wo hamein mile,
Fir bhi na paya to apni he zindgi askon me utar baithe.
Umeed ka sila khud se bhi rakha,
Par safar ka kafila manzil se pehle tabaah kar baithe.

Dard-e-Sameer 21

har zarra cheekh kar kehta hai
mat ujadne do mere gulshan ko,
ki khoon se seecha hai, isse azadi k ashikon ne
iss din k liye na ki thi jang dushmano se,
ki apno ka apne khoon bahayenge,
mat karo tabah mere mulk ko
bepanah mohbbat hai  mujhe isse,
ki hame kuch de nhi sakte to chain se jine do,
kuch to khair karo apno ki mat itna zulm karo,
ki har zarre se ek chingari nikle, 
jo khud bhi tabah ho or tumhe bhi jala baithe.

Dard-e-Sameer.