Wednesday, December 1, 2021

subeh aankh khulti hai

ye soch k har subeh aankh khulti hai,
aaj unka didar ho jaye,
wo door ho to bhi kya huwa,
aaj fir intzaar ho jaye,
kismat ka darwaza kab khul jaye
kaun jane 
aaj fir kismat pe aitbaar ho jaye,
hai maloom k bahot majburiyan hain unhe bhi
par nadan dil ko kaun samjhaye,
har dhakan talab karti hai uski justju,
shayad usse khabar ho jaye,
roj yun takalluf karte hain ek dusre se,
fir bhi armaano ki fitart hai,
mere yaar ko sirf meri nazar ho jaye.................
ek baar wo yun mil jaye
ki sari kayenaat meri bas sawar jaye.............................

No comments:

Post a Comment