Monday, November 15, 2021

Wo kehte hain main ajnabi hu

Wo kehte hain main ajnabi hu
Main kehta hu kisi or se mera rishta hi kya ek tumhare siwa,
Wo kehte hain wo mujhe jante hi nahi
Main kehta hu jab se tumko jana hai Tab se khud ki pehchan hui hai.
Wo kehte hain yun pareshan mat karo
Main kehta hu mere khwabon me aana chod do,
Wo kehte hain mere piche mat aao
Main kehta hu tum mere sath chalne lago,
Wo kehte hain log kya kahenge
Main kehta hu log to kaam hai kehna...

No comments:

Post a Comment