Do Phool aake meri maiyyat par chadha jana,
Hai Ek Rasam jise tum bhi aakar nibha jana,
Apne to kabhi the nahi, Gairon sa haal jata jana,
Mumkin hai zamane ka darr tumhe ruswa na kar de,
Phir bhi pahen chehre par naqab tum yahan aa jana,
Samajhkar Ek deewane ka janaza Ek bar aur tum muskura jana,
Beshaq beeti baatein tumhe aane se bada rokengi,
Phir bhi Ilzaam mohabbat par na aaye pyaar jhoota hi tum jata jana,
Mere ishq ki qimat to ada ho na sakegi tumse,
Apne jhoothe waadon ka taqada tum zarur bata jana,
Jab koi nahi tha haal tumhara sunne ko uska kuch sila hamse nibha jana,
Aana meri laash par aur do aansu jhoot ke tum bhi baha jana,
Baad marne ke hum to honge na tumhari yaadon me,
Fatiha padhne ka silsila tum thoda sa aage badha jana,
Ho jana hai dafan mujhe hokar door tumhari duniya se,
Bas ek akhiri aarzoo rahi sanam tumse jeete ji aur bAad marne ke bhi,
Mere ishq ki dastan kisi mod par kisi ko tum suna jana.
Alvida
Monday, September 2, 2019
Do Phool aake meri maiyyat par
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment