Tumne jo meri kabr par, aakar muskura diya,
bijli chamak k gir padi, sara kafan jala diya,
main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar me,
yaha bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya,
tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya,
maine tumhare ishq me, sara chaman luta diya,
pucha na jite ji kabhi, dard e dil ka haal,
aaye ho kabr par meri, mitti me jab mila diya.
Dard-e-Sameer
No comments:
Post a Comment