Aye kash k aisa ho jaye
Tum mom ki gudiya ban jao
0r main ek dhaga ban jaun
Koi humko shamma bana dale
Aye kash achanak aisa ho
Do pyaar k matwale hum ko
Apni dunia me le jayen
0r pyar ki baate karte huwe
Jazbat ki shiddat me akar
Mujh ko b aag laga daalen
Main holey holey jalta rahun
Tum dheere dheere pighalti raho
Yun main tum me kho jaun,
0r tum bhi mujh me sama jao
Yun hoga pyaar Amar apna
Aye kash aisa ho jaye.
No comments:
Post a Comment