Thursday, December 12, 2019

Chandi ki chamak se

Chandi ki chamak se bhi zyada chamakata ek Sheeshe ka glass, 
Us Chandi se chamakte glass me Heere ki tareh dikhne waale barf k kuch paardarshi tukde, 
Aur un tukdo par upar se haule haule se madira girayai jati hai, 
To Ek haseen si madak se khushbu uthti hai, 
Jo saanso me is qadar ghul jati hai jaise koi premika apne premi ko aagosh me bhar lena chahti ho, 
Glass ki tali se uthte chote chote se wo bulbule, 
Jo upar aakr bikhar jate hain, 
Yun lagta hai sheeshe par barish ki boonde takra kar ye keh rahi ho, 
Paayalon ki cham cham se kahi madmast ye aawaz hai. Bahar se dekh raha us glass ko wo May ka humsafar is qadar mohabbat karta hai usse, 
Ki us Somras ko haule haule apne hotho se lagata hai. Jaise koi premi apni premika ko ek zamane baad apne dil k har hisse pyaar luta raha ho. :) :D

No comments:

Post a Comment