ki aaj kuch machal jane ko ji chahta hai
ki aaj kuch badal jane ko ji chahta hai,
ki aaj hosh kho dene ko ji chahta hai
ki aaj gir kar sambhal jane ko ji chahta hai,
yun to bahot kuch hai waqt zaya karne k liye
par na jane kyun zindgi zaya karne ko ji chahta hai,
ek khushi bhi hai or hazar gam bhi hain sine me
bahot chipata hu magar aaj kisi ko batane ko ji chahta hai,
kya karu kya na karu ye samjh se pare ho jata hai
fir bhi kuch yaad karke bahot kuch bhul jane ko ji chahta hai.
Dard-e-Sameer
No comments:
Post a Comment